top of page

Ahwaal-e-Aimma Hadith-wo-fan-e-Hadith

[Biography of Scholars of Hadith and Science & Art of Hadith] 

To Read online click on the Title Page
Listen to Audio Clips of this book please scroll below

Is kitaab ke harf-e-Aagaaz [Foreword] mein riwaayat-e-ahadith aur daraayat-e-Ahadith ke har pehlu ko bade husn-o-khoobi se ikhtesaar ke saath roshni daali gaya hai aur is kitaab ke muqaddame [preface] mein Qur’an-e-Kareem aur uski sharah-o-Tozeeh [Qur’an and it’s elucidation], Sunnat ka lagwi aur istelaai mafhoom [Literal meaning and technical sense of Hadith], Hadith ki ta’reef aur uski buniyaadi qismein, Sunnat aur uski tashree’ ahmiat [Sunnah and it’s Legislative importance], Huzoor-e-Paakr ke a’maal-e-tayyiba ki paabandi [Adopting the Natural habits of the Holy Prophet r, Aqsaam-e-Hadith [Categories of Hadith], Hadith-e-Tafseer ke sadr aqsaam-e-arba’ [Four main categories of hadith-e-Tafseer], Kya Hadith mustaqil maakhid-e-tashree’ hain? [Is Hadith an independent legislative source?] aur hadith ki 47 mukhtalif istelaahein [47 Terms & Definitions of hadith] jaise ahem mozoo’aat ko mukhtasar magar jaami’ andaaz mein samjhaya gaya hai. Naqsh-e-Qadm-e-Rasool jild baab 2 Ahwaal-e-Aimma Hadith-wo-fan-e-Hadith-e-Nabwi do hisson [Part 1&2] par mushtamil hain.

Part-1:

Kitab ka yeh pehla hissa 19-144 pages par mabni hain jis mein jumla 100 mufeed sawaalat-o-jawaabat shamil kiye gaye hai. Yeh ahed-e-risalat se ahed-e-taabaeen tak Hadith ke bayaan par mushtamil hain. Riwaayat-o-Daraayat-e-Ahadith ke mutaa’laq nihaayat aam fehem aur khoobsoorat andaaz mein tarteeb di gayi hai.

Is ke alaawa ahed-e-risaalat mein Hadith-e-Nabwi ke silsile mein hifaazat-e-hadith mein sahabah ka kirdaar [Role of Sahabah in the protection of Hadith], sarwar-e-qaaenaat ke ilmi majaalis [Literary Society of Holy Prophet r, Sahabah ka tareeqe akhs-e-hadith [Inference of Hadith by Sahabah], Isha’at-e-Hadith mein sahabiyaat ka hissa [The role of sahabia in propagation of hadith], Ummahatul Mumineen muballig ahadith ke haisiat se [The Spouses of the Holy Prophet r as transmitters of hadith], Qabaail-e-Wufood ke zariye hadith ki isha’at [Tribal Delegations and spread of Hadiths], Khulaafat-e-Rashida ke mukhtasar haalat [Brief state/condition of caliphate], Sahabah ka tarz-o-minhaaj-e-riwaayat-e-hadith [Sahabah Karam’s Reliable of narrating hadiths], Riwaayat-e-Hadith mein hazm-o-ehtiat [Vigilance and care in transmission of Hadith], Gair mafhoom ahadith ki riwaayat ki ehtiyaatan mumaaniat, Ikhtetaam-e-Khilaafat-e-Raashida par firqon ka zuhoor-o-shioo’ riwaayat-e-hadith par un ke asraat [End of Khilaafat-e-Rashida and consequences of sectarian outcome on the hadiths], Hadith ki jama’ wa tadween mein Sahaabah-o-ta’baeen ki masaa’ee [Compiling and editing of hadiths by sahaabah and ta’baeen], Islaami fitoohaat ki wasa’t aur ishaa’t-e-hadith [Expansion of Islamic regime and propagation of hadiths], hadith mein darog goi ka aagaaz [Beginning of Fabricated Hadith narrations], Kitaabat-e-Hadith [Calligraphy of Hadiths], Qur’an ki tarah hadith ki kitaabat bhi ahd-e-risaalat mein shuroo’ hona [Calligraphy of Qur’an and hadith was initiated during the Holy Prophet’s r time], Ahd-e-Risaalat ke baad kitaabat-e-hadith [Calligraphy of Hadith after demise of the Holy Propher r, Sahabah ki tauseeq-o-adaalat, Mashaaheer-e-Sahaaba ka ta’aarruf, [Biography of elite Sahabah], Mashaaheer-e-Tabaeen ka ta’arruf [Biography of elite Taba’een], Ta’rruff-e-muhadditheen (doosri sadi hijri) [Biography of muhadditheen in second sadi hijri], Waze’ hadith ka aagaaz [Start of fabricated narration of hadiths – 2nd sadi hijri] aur mustashriqeen ki fareb kaari ka abtaal [Falsification and deceit of Orientalists] jaise ahem mozoo’aat par waazi’ behs ki gayi hai.

 

Part-2:

Kitab ka yeh doosra hissa 145-272 pages par mabni hain jis mein jumla 103 mufeed sawaalat-o-jawaabat shamil kiye gaye hai. Yeh ta’arruf-e-Muhadditheen theesri sadi hijri ke bayaan se asr-e-haazir ke muhadditheen ke bayaan par mushtamil hain. Is ke alaawa, uloom-e-Hadith aur fan-e-hadith (Art & Science of hadith) ke mouzoo’at jaise usool-e-hadith, ilm-e-jirah-wo-ta’deel, ilm-e-taweel-e-mushkil ahadith aur mozoo-e-hadith ki alaamatein etc. ko mudallil aur waazi’ andaaz mein samjhaya gaya hai.

Kitaab ke is hisse mein tadween-e-hadith ke sarkarmiyaan, aimma-e-hadith siya sitta ke shoroo’ wo riwaayaat aur un ki kitaabon ki khususiyat [Aimma of Hadith of siya sitta and the importance of their stipulations for narration for hadiths], Doosri aur teesri sadi hijri ke mashoor kutub  [Important book of hadiths during 200-300 AH], taa’ruff-e-muhaditheen (chauthi ta chatti sadi hijri) [Biography of scholars of hadith 400-600 AH], Paanchwi ta Chatti saddi hijri mein ahadith ehkaam par mushtamil kutub, Akaabir Aimma-e-Hadith aur tarz-e-riwaayat (Saatwi ta aathwi sadi hijri) [Prominent A’imma-e-Hadith and their mode of narrating hadiths (700-800 AH)], Tarz-e-Ishaa’t-e-hadith-e-nabwi (nawwi sadi hijri aur maaba’d) [Method of transmission of Hadiths 900 AH and after], Arz-e-Hind-o-pak mein ishaa’t-e-Hadith aur aimma-e-akaabir ki numayaan khidmat (daswi sadr-e-hijri ta asr-e-haazir) [Edition of hadiths in Indo-Pak 1000 AH till date] aur uloom-e-hadith-o-fan-e-hadith aur us ke mutaa’laq uloom [Art & Science of Hadith and related subjects] etc., jaise ahem mozoo’aat par waazi’ behs ki gayi hai.

Is mein hasb-e-zuroorat angrezi alfaaz ka bhi iste’maal kiya gaya hai, taake qaaraeen ko samajhne mein asaani ho. Mukhtasar yeh ke, is kitaab mein woh sab kuch ba husn-e-khoobi maujood hai jo ek taalib-e-ilm-e-Hadith-o-fan-e-hadith ke liye mufeed hain.

The complete book can be viewed and downloaded by clicking PDF and to listen audio in brief aspect from the book:
bottom of page